Love Shayari

SYED SHAHNAWAJ ALAM


Dil se jo faisala hona tha “khaskar” na hua,
Sab se hota hai to phir mujhse hi kyon kar na hua,
Jitna iss bar hua tujse main milkar tanha,
Itna tanha to kabhi khud se bichhadkar na hua.



Kuchh chhote sapno ke badal, badi nind ka sauda karne,
Nikal pade hain paun abhage, Jane kaun dagar thaharenge!



Wahi pyash ke angarh moti, wahi dhup ki surkh kahani,
Wahi aankh me ghutkar marti, wahi dhoop ki surkh kahani,
Har mohre ki mook vivashta, chaushar ke khane kya jane,
Haar jeet tay karti hai ve, aaj kaun se ghar thahrenge!
Nikal pade hain paun abhage jaune kaun dagar thahrenge!!



Kuch palkon me band chandani, kuch hoton ke kaed tarane,
Manjil ke gumnaam bharose, sapno ke lachar bahane,
jinki jidd ke aage sooraj morpankh se chhaya mange,
Unke bhi durbhagya iraade, veena ke swar par thahrenge,
Nikal pade hain paun abhage jaune kaun dagar thahrenge!!



Kitni mohabbat hai unse,
humse bataya na gaya.
Wo samajh na sake,
humse samjhaya na gaya.
Unhone karib hone ki kosis na ki.
Aur humse hatha badhaya na gaya




Azmaish pyar mein zaruri hoti hai,
Na mil pana kisi ki Majburi hoti hai,
Yaad dur se toh App kar sakte hai,
Lekin dil ki hasrat milne se puri hoti hai.

Woh jo sar jhuka ke baithe hain.
Hamara dil chura ke baithe hain.
Humne unse kaha hamara dil hume lota do.
To bole, hum to HATHON ME MEHNDI laga ke baithe hain.

No comments:

Post a Comment

  • Invite and Win Free Recharge